Exam, exam ka shor macha kar
Papa itna kyon daraate ho?
Apna time bhul kar
Mujh ko tension dilaate ho!
Padh hi to rahi hoon main
Din raat ek karke
Uss examiner ko koi samajha de
Number de khule haath karke.
Prarthna karo ki apni biwi se daant kha kar na aaya ho
Na hi uss bechari ki saas ne usko tanna koi maara ho.
Par ek baat batao papa,
In subjects ka kya matlab hai?
Bhugol gol hai bilkul mera
Aur gul hai civics
Gannit mein ginti ke alawa hum aur kuch kyon hain padhte?
Kyonkar padhna padhta hai haye mujhko physics?
Papa, kya aap bhi bio se ghabrate the?
Poems ke itne matlab, kya poet ko khud pata hote?
Phir yehi soch kar himmat milti hai
Mere jaisi bhi kai honge
Papa, apni baat na bhoolna!
“Numberon mein kya dhara hai”
Number chahe jaise bhi aaye
Koshish mein na hai koi kami
Aaj ka paper bas ho gaya hai
Mummy se kehna dikhayen thodi narmi.